what my father says 2 b....my autobiography....

bachpan ka pehla kadam rakhkha hi tha k , A B C D sikhna shuru..
bachpan mein Alladin k badle , haath mein aaya maths guru...


khelna toh dur ki baat , sapne dekhna bhul gaya...
pata nahi kab dusron ka sapna pura karte hue
kahin khud ka saapna hi kho diya...


jaane kab school mein woh pehli khushi aayi...
wahi front seat wali padhakoo ladki
10th mein girlfriend ban gayi...


pyaar ka bhoot kuch aisa chadha....
k usiki yaadon mein khoye rahe.....
raat bhar baap ke cellular pe usse busy rahe
aur saala maths class mein soye reh gaye...


valentine day aisa manaya , k khud ka chod
baap ka wallet bhi khali kiya...
aur latest edition wali dictionary dekh kar
usko ek sahi english wala letter diya....


exam aaya , toh mind mein yeh doubt aaya..
k saala 1st chapter k baad, baki sab kab padhaya ?
kisi tarah maths , science , literature mein pass ho gaye
baaki sab toh asan tha...


mahino beet gaye aaram farmate hue , phir jab result nikla ,
kahin niche list mein aapna naam...
aur sabse upar ussi padhakoo ladki ka nam tha....




                        @sabyasachi

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

a call ..... that was better not received...(fictional)

...........just a few more days